Monday, February 11, 2013

 fir mujhe  deeda-e-tar yaad aaya
 dil jigar tashna-e-fariyaad aaya

(deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty )

dam liya tha na qayaamat ne hanoz
fir tera  waqt-e-safar  yaad aaya

hanoz = yet/still

saadgee   haay   tamanna,  yaanee
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya

[ nai_rang = fascinating ]

uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
naala  karta  tha  jigar  yaad  aaya

[ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]

zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
kyoN  tera  raahguzar  yaad aaya ?

kya hee rizwaaN  se laDaayee hogee
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya

[ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]

aah woh  jurat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aaya

[ jurat = courage/valour ]

fir tere kooche ko jaata hai KHayaal
dil-e-gumgashta  magar   yaad   aaya

[ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]

koee weeraanee-see-weeraanee hai
dasht ko dekh ke  ghar yaad aaya

[ dasht = desert ]

maiNne majnooN  pe laDakpan meiN 'Asad'
sang  uTHaaya tha  ki  sar  yaad  aaya

[ sang = stone ]